Agar Kuchh Kahu

Agar kuchh kahu yaa khamoshi sunau…

Bematlab si duniya mein koi matlab ki baat sunau…

Bezubaan kisi jazbaat ko aazadi ki leher sunau…

Agar samajhne ki koshish karo to samjhdari ki koi baat sunau…

Jhoom utho agar to pagalpan ka koi raag sunau…

Baadal ki tarhaa baras jao to bundo ki saazish sunau…

Kuchh waqt theher jao to koi mukammal kahani sunau…

Sun sako to tumhe sunau, mil sako to tumhe tumse milvau…

Agar kuchh kahu yaa khamoshi sunau…

– Pooja R. | © Tatva Musings

Leave a Comment

Your email address will not be published.

%d bloggers like this: