Mann karta hai aaj insaaf kar du
Saare sawalo ko jawab de du
Kamare ke uss kone me baithi iss khamoshi ko
Mann karta hai aaj koi zubaan de du
Kyu se uthkar bahut dur tak jate hai
Mann karta hai aaj unn saare sawalo ko vishram de du
Sawal pe sawal puchh kar gumraah karte hai
Mann karta hai aaj unn saare khayaalo ko doshi karar du
Saare sawalo ko jawab de du
Mann karta hai aaj insaaf kar du
– Pooja R. | © Tatva Musings